Skip to content

Latest commit

 

History

History
34 lines (25 loc) · 1.44 KB

106_Surah_Quraysh.md

File metadata and controls

34 lines (25 loc) · 1.44 KB

Number 106: Surah Quraysh

Classification: Makki Rukus: 1 Ayahs: 4 Subject: Quraysh ke haalaat (muaashi) Related Surah: 105. Surah Fil, 107. Surah Maoon and 108. Surah Kausar

Info

  1. Es Surah mein Allah talla Quraysh ko yaad dila raha hai ke Allah ne unhe aman aor izzat bakshi hai.
  2. Lehaza unko chahye ke woh khalis us ghar k Maalik ki ibadat kren.

Quraysh ke liye tijarat mein asaaniyan

  1. Sardiyo mein Yamen jaty thy.
  2. Garmiyo mein Sham jaty thy tijarat ke liye.
  3. Jahliyat ke zamany mein loot maar boht hoti thi.
  4. Lekin Bait-ullah ki wajha se Quraysh ki boht izzat thi.
  5. Esi wajha se wo bekhof ho kar apni tijarat karte thy.
  6. Jese ke Makkah ke aas paas koi khet waghera nahi thy lekin isi Bait-ullah ki wajha se Quraysh khush'haal thy.

Quresh ke liye nematein

  1. Allah ne unko aman bakhsha loot maar se.
  2. Isi wajha se wo tijarat kar lete thy garmiyo mein bhi aor sardiyon mein bhi.
  3. Makkah ke banjar ilaqy mein hony ke bawajood bhi Quresh khush'hal thy usi tijarat ke natijy.
  4. Quraysh ke logo ki boht izzat aor waqar tha.
  5. Yeh sab unko is liye mil raha tha kiyu ke woh Allah ke ghar ke parosi thy.

Nematon ka badle Allah ki ibaadat karna

  1. Aman, izzat, maal aor khush'haali jesi nematon ke bad Quraysh ko chahye tha ke woh faqat us paak ghar ke Maalik ki ibadat karen.
  2. Hum insaano ko chahye ki Allah ki nematon ka badla faqat Usi ki ibadat se chukaein.