Classification: Makki Rukus: 1 Ayahs: 7 Subject: Quraysh ke haalaat (ikhlaqi) Related Surahs: 105. Surah Fil, 106. Surah Quraysh and 108. Surah Kausar
- Arab mein jo akhlaqi masla aya howa tha Huzur ﷺ ke zamane mein uska naqsha es Surah mein dikhaya gaya hai.
- Jo yateem ko dakke deta hai.
- Jo kisi misqeen ko khana khilany ki talqain nahi deta. Khud bhi nahi khilata aor dusro ko bhi khilane ki talqain nahi karta. Kaheen esa na ho ke woh log isko keh dein ke tum kiyu nahi khila dete khud.
- Jo Namaz mein ghaflat karte hain. Rooh-e-namaz, huzoor-e-qalb namaz mein nahi ho.
- Jo naiki ka kaam dikhawa karne ke liye karte hain.
- Jo aam estemal ki chezein dusro ko nahi dete. Jese hamsaya namak/ matches maangne aajata hai kabhi kabar to usko yeh itna bhi nahi dete.